jitnā paatā huuñ gañvā detā huuñ
phir usī dar pe sadā detā huuñ
ḳhatm hotā nahīñ phūloñ kā safar
roz ik shāḳh hilā detā huuñ
hosh meñ yaad nahīñ rahte haiñ ḳhat
be-ḳhayālī meñ jalā detā huuñ
sab se laḌ letā huuñ andar andar
jis ko jī chāhe harā detā huuñ
kuchh nayā baaqī nahīñ hai mujh meñ
ḳhud ko samjhā ke sulā detā huuñ
jitna pata hun ganwa deta hun
phir usi dar pe sada deta hun
KHatm hota nahin phulon ka safar
roz ek shaKH hila deta hun
hosh mein yaad nahin rahte hain KHat
be-KHayali mein jala deta hun
sab se laD leta hun andar andar
jis ko ji chahe hara deta hun
kuchh naya baqi nahin hai mujh mein
KHud ko samjha ke sula deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.