Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jitna tha sargarm-e-kar utna hi dil nakaam tha

Arzoo Lakhnavi

jitna tha sargarm-e-kar utna hi dil nakaam tha

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    jitnā thā sargarm-e-kār utnā dil nākām thā

    hosh jis naam hai vo bhī junūn-e-ḳhām thā

    hosh zāmin thā saaqī kaif-parvar dil shauq

    jaam thā paas aur be-andesha-e-anjām thā

    ḳhatm kartī jald kyūñkar ziist manzil ko saañs

    pher kosoñ thā lekin fāsla ik gaam thā

    josh-e-shorīda-sarī thā tā-ba-vahm-e-iḳhtiyār

    thak ke dam TuuTā to phir ārām ārām thā

    ab kahāñ vo āmad-o-raft-e-nafas shāh-rāh

    ik kashākash thī ki jis zindagānī naam thā

    chauñk kar ḳhud manzar-e-hastī se āñkheñ pher liiñ

    hichkiyāñ kaahe ko thiiñ poshīda ik paiġhām thā

    gul huā āḳhir bhaḌak kar sho.ala-e-josh-e-shabāb

    thī kaf-e-mauj-e-havādis aur charāġh-e-shām thā

    be-jale kis tarah bantā sham.a parvāne dil

    vo use anjām kyā dete jo merā kaam thā

    tum ne ḳhud nākām rakh ke us himmat thī past

    ārzū-e-be-gunah par muft ilzām thā

    jitna tha sargarm-e-kar utna hi dil nakaam tha

    hosh jis ka nam hai wo bhi junun-e-KHam tha

    hosh ka zamin tha saqi kaif-parwar dil ka shauq

    jam tha pas aur be-andesha-e-anjam tha

    KHatm karti jald kyunkar zist ki manzil ko sans

    pher koson ka tha lekin fasla ek gam tha

    josh-e-shorida-sari tha ta-ba-wahm-e-iKHtiyar

    thak ke dam TuTa to phir aaram hi aaram tha

    ab kahan wo aamad-o-raft-e-nafas ki shah-rah

    ek kashakash thi ki jis ka zindagani nam tha

    chaunk kar KHud manzar-e-hasti se aankhen pher lin

    hichkiyan kahe ko thin poshida ek paigham tha

    gul hua aaKHir bhaDak kar shoala-e-josh-e-shabab

    thi kaf-e-mauj-e-hawadis aur charagh-e-sham tha

    be-jale kis tarah banta shama parwane ka dil

    wo use anjam kya dete jo mera kaam tha

    tum ne KHud nakaam rakh ke us ki himmat ki thi past

    aarzu-e-be-gunah par muft ka ilzam tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now