jitne chehre bhi jahan mein mujhe bezar mile
jitne chehre bhī jahāñ meñ mujhe bezār mile
bā-ḳhudā saare mohabbat meñ giraftār mile
kyā ġhazab Dhā gayā is baar kā sailāb yahāñ
jo the is paar ke bāshinde vo us paar mile
us se kahnā mire alfāz mujhe lauTā de
gar kahīñ raah meñ vo māhir-e-guftār mile
aap jannat ke makīñ haiñ so zarā duur raheñ
maiñ gunahgār huuñ mujh se to gunahgār mile
tujh se jo ishq kiyā hijr manāyā terā
us ke badle meñ ye TuuTe hue ash.ār mile
so gayā raat qabīle kā nigahbān 'ayyāb'
sub.h ḳhemoñ kī jagah lāshoñ ke ambār mile
jitne chehre bhi jahan mein mujhe bezar mile
ba-KHuda sare mohabbat mein giraftar mile
kya ghazab Dha gaya is bar ka sailab yahan
jo the is par ke bashinde wo us par mile
us se kahna mere alfaz mujhe lauTa de
gar kahin rah mein wo mahir-e-guftar mile
aap jannat ke makin hain so zara dur rahen
main gunahgar hun mujh se to gunahgar mile
tujh se jo ishq kiya hijr manaya tera
us ke badle mein ye TuTe hue ashaar mile
so gaya raat qabile ka nigahban 'ayyab'
subh KHemon ki jagah lashon ke ambar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.