jitne din ka sath likha tha sat rahe
jitne din kā saath likhā thā saat rahe
ab kuchh din to āñkhoñ meñ barsāt rahe
ab nā-shukrī karnā aur mo.āmla hai
hāsil ham ko ishq rahā samrāt rahe
andar kī devī ne ye chumkār kahā
narm hai dil to kaahe lahja dhaat rahe
tum vaise ke vaise ho to lā-yānī
maanā qurbānī bhī kī arfāt rahe
ek akele shaḳhs kā kaam nahīñ lagtā
shāmil us ke saath ka.ī jinnāt rahe
ek bhī dil jo tum tasḳhīr na kar paa.e
kyā paayā jo hāsil kā.enāt rahe
ham the bechainī ke halqe aur sukūt
din meñ thoḌī chhūT milī to raat rahe
shāhoñ kī shah-ḳharchī kam na ho paa.ī
ham jaisoñ ke jaise the hālāt rahe
'hasrat' in āñkhoñ meñ chashme phuuT paḌe
jitnā chup rah sakte the jazbāt rahe
jitne din ka sath likha tha sat rahe
ab kuchh din to aankhon mein barsat rahe
ab na-shukri karna aur moamla hai
hasil hum ko ishq raha samraat rahe
andar ki dewi ne ye chumkar kaha
narm hai dil to kahe lahja dhat rahe
tum waise ke waise ho to la-yani
mana qurbani bhi ki arfat rahe
ek akele shaKHs ka kaam nahin lagta
shamil us ke sath kai jinnat rahe
ek bhi dil jo tum tasKHir na kar pae
kya paya jo hasil kaenat rahe
hum the bechaini ke halqe aur sukut
din mein thoDi chhuT mili to raat rahe
shahon ki shah-KHarchi kam na ho pai
hum jaison ke jaise the haalat rahe
'hasrat' in aankhon mein chashme phuT paDe
jitna chup rah sakte the jazbaat rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.