jitne hain rang-e-chaman rang-e-hina ho jaenge
jitne haiñ rañg-e-chaman rañg-e-hinā ho jā.eñge
tum hameñ dekhoge aur ham aa.ina ho jā.eñge
ḳhaak oḌheñge phireñge kū-ba-kū aur us ke baa'd
ham tirī furqat meñ jaane kyā se kyā ho jā.eñge
naqsh ban kar pāniyoñ meñ Dūbte haiñ jis tarah
dekhnā is tarah ik din ham fanā ho jā.eñge
maut kī āñdhī chalegī aur phir mere charāġh
dekhte hī dekhte nazr-e-havā ho jā.eñge
apnī ḳhushbueñ utarne do hamāre jism meñ
phuul kī sūrat khileñge ham sabā ho jā.eñge
vasl kī shab jagmagā.egī dil-e-aflāk par
chāñd aur sūraj tumhāre naqsh-e-pā ho jā.eñge
dekh lenā TuuT kar shāḳh-e-shajar se ek din
ḳhushk patte āñdhiyoñ ke ham-navā ho jā.eñge
ek din 'afroz' jitne bhī haiñ āhañg-e-hayāt
gumbad-e-jāñ meñ vo sab hī be-sadā ho jā.eñge
jitne hain rang-e-chaman rang-e-hina ho jaenge
tum hamein dekhoge aur hum aaina ho jaenge
KHak oDhenge phirenge ku-ba-ku aur us ke ba'd
hum teri furqat mein jaane kya se kya ho jaenge
naqsh ban kar paniyon mein Dubte hain jis tarah
dekhna is tarah ek din hum fana ho jaenge
maut ki aandhi chalegi aur phir mere charagh
dekhte hi dekhte nazr-e-hawa ho jaenge
apni KHushbuen utarne do hamare jism mein
phul ki surat khilenge hum saba ho jaenge
wasl ki shab jagmagaegi dil-e-aflak par
chand aur suraj tumhaare naqsh-e-pa ho jaenge
dekh lena TuT kar shaKH-e-shajar se ek din
KHushk patte aandhiyon ke ham-nawa ho jaenge
ek din 'afroz' jitne bhi hain aahang-e-hayat
gumbad-e-jaan mein wo sab hi be-sada ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.