jitne log shahar mein hain
jitne log shahar meñ haiñ
ek musalsal Dar meñ haiñ
manzil pīchhe chhūT ga.ī
phir bhī log safar meñ haiñ
sirf mire qadmoñ ke nishāñ
merī rāhguzar meñ haiñ
un se uttar kyā pūchhā
prashn ka.ī uttar meñ haiñ
ḳhair to hai 'vigyān' miyāñ
kaafī din se ghar meñ haiñ
jitne log shahar mein hain
ek musalsal Dar mein hain
manzil pichhe chhuT gai
phir bhi log safar mein hain
sirf mere qadmon ke nishan
meri rahguzar mein hain
un se uttar kya puchha
prashn kai uttar mein hain
KHair to hai 'wigyan' miyan
kafi din se ghar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.