jitne sine pe dagh-e-mazi hain
jitne siine pe dāġh-e-māzī haiñ
jān-e-jāñ sab hī jāñ-gudāzī haiñ
koī insāf kī nahīñ kahtā
kaise munsif haiñ kaise qaazī haiñ
aap se ruḳh phire are tauba
aap to qibla-e-majāzī haiñ
'ishq karnā agar ḳhatā hai to
ham tumhārī sazā ko raazī haiñ
ham gunahgār haiñ bache rahiye
aap to nek aur namāzī haiñ
vo hameñ kis tarah samajh paa.eñ
ham to un ke liye riyāzī haiñ
ham ko 'faisal' na jāniye shā'ir
ham kahāñ ke suḳhan-tarāzī haiñ
jitne sine pe dagh-e-mazi hain
jaan-e-jaan sab hi jaan-gudazi hain
koi insaf ki nahin kahta
kaise munsif hain kaise qazi hain
aap se ruKH phire are tauba
aap to qibla-e-majazi hain
'ishq karna agar KHata hai to
hum tumhaari saza ko raazi hain
hum gunahgar hain bache rahiye
aap to nek aur namazi hain
wo hamein kis tarah samajh paen
hum to un ke liye riyazi hain
hum ko 'faisal' na jaaniye sha'ir
hum kahan ke suKHan-taraazi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.