jitne the rang husn-e-bayan ke bigaD gae
jitne the rañg husn-e-bayāñ ke bigaḌ ga.e
lafzoñ ke baaġh shahr kī sūrat ujaḌ ga.e
is āñdhiyoñ kī fasl meñ hai kis binā pe naaz
tum kyā ho āsmānoñ ke ḳheme ukhaḌ ga.e
ye mo'jiza hayāt kā mā'mūl ban gayā
itnī dafa charāġh havāoñ se laḌ ga.e
qatre lahū ke jin ko samajhte ho be-numū
aksar zamīn-e-shor meñ bhī jaḌ pakaḌ ga.e
gardan-farāziyoñ yuuñ hai maqtal zamīñ tamām
kaise kahāñ ye baat pe tum apnī uḌ ga.e
jitne the rang husn-e-bayan ke bigaD gae
lafzon ke bagh shahr ki surat ujaD gae
is aandhiyon ki fasl mein hai kis bina pe naz
tum kya ho aasmanon ke KHeme ukhaD gae
ye mo'jiza hayat ka ma'mul ban gaya
itni dafa charagh hawaon se laD gae
qatre lahu ke jin ko samajhte ho be-numu
aksar zamin-e-shor mein bhi jaD pakaD gae
gardan-faraaziyon yun hai maqtal zamin tamam
kaise kahan ye baat pe tum apni uD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.