jitne wahshi hain chale jate hain sahra ki taraf
jitne vahshī haiñ chale jaate haiñ sahrā kī taraf
koī jaatā hī nahīñ ḳhema-e-lailā kī taraf
ham harīfoñ kī tamannā meñ mare jaate haiñ
uñgliyāñ uThne lagīñ dīda-e-bīnā kī taraf
har taraf sub.h ne ik jaal bichhā rakkhā hai
os kī buuñd kahāñ jaatī hai dariyā kī taraf
ham bhī amrit ke talabgār rahe haiñ lekin
haath baḌh jaate haiñ ḳhud zahr-e-tamannā kī taraf
jitne wahshi hain chale jate hain sahra ki taraf
koi jata hi nahin KHema-e-laila ki taraf
hum harifon ki tamanna mein mare jate hain
ungliyan uThne lagin dida-e-bina ki taraf
har taraf subh ne ek jal bichha rakkha hai
os ki bund kahan jati hai dariya ki taraf
hum bhi amrit ke talabgar rahe hain lekin
hath baDh jate hain KHud zahr-e-tamanna ki taraf
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 186)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.