jitni kam-kam ho mulaqat achchha
jitnī kam-kam ho mulāqāt achchhā
bach raheñ Dher se jazbāt achchhā
mutma.in honā bhī fankārī hai
zindagī ho rahe sauġhāt achchhā
sair-e-gulshan se chahaktā hai badan
muskurāte hoñ musāmāt achchhā
ġharq ho jaa.e kahīñ jā sūraj
na kaTe aaj kī ye raat achchhā
paḌ na jaa.eñ kahīñ dil meñ gāñTheñ
khul ke insān kare baat achchhā
jitni kam-kam ho mulaqat achchha
bach rahen Dher se jazbaat achchha
mutmain hona bhi fankari hai
zindagi ho rahe saughat achchha
sair-e-gulshan se chahakta hai badan
muskuraate hon musamat achchha
gharq ho jae kahin ja suraj
na kaTe aaj ki ye raat achchha
paD na jaen kahin dil mein ganThen
khul ke insan kare baat achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.