jitni likkhi thi muqaddar mein hum utni pi chuke
jitnī likkhī thī muqaddar meñ ham utnī pī chuke
ab to din marne ke haiñ jiinā thā jitnā jī chuke
ai zamāne ab na aanā ham ko samjhāne kabhī
apnī kah lī sab kī sun lī hoñTh ab to sī chuke
ab hamārī ḳhushk āñkhoñ meñ na kuchh DhūñDhe koī
ashk jitne in meñ the ham pī chuke ham pī chuke
ghar se be-ghar ho ga.e ab ghar kī yaad aa.e to kyoñ
zindagī pīchhā na kar ham jī chuke ham jī chuke
jitni likkhi thi muqaddar mein hum utni pi chuke
ab to din marne ke hain jina tha jitna ji chuke
ai zamane ab na aana hum ko samjhane kabhi
apni kah li sab ki sun li honTh ab to si chuke
ab hamari KHushk aankhon mein na kuchh DhunDhe koi
ashk jitne in mein the hum pi chuke hum pi chuke
ghar se be-ghar ho gae ab ghar ki yaad aae to kyon
zindagi pichha na kar hum ji chuke hum ji chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.