jitni sachchi meri kahani hai
jitnī sachchī mirī kahānī hai
sab ko utnī hī bad-gumānī hai
lāpata hai bahār barsoñ se
mo'atabar phir bhī bāġhbānī hai
aag khilne lagī hai shāḳhoñ par
jaane ye kis kī gul-fishānī hai
saare kirdār us ke zaḳhmī haiñ
ahd-e-nau kī ajab kahānī hai
zulm āzād be-gunāhī qaid
ḳhuub andāz-e-hukmrānī hai
jitni sachchi meri kahani hai
sab ko utni hi bad-gumani hai
lapata hai bahaar barson se
mo'atabar phir bhi baghbani hai
aag khilne lagi hai shaKHon par
jaane ye kis ki gul-fishani hai
sare kirdar us ke zaKHmi hain
ahd-e-nau ki ajab kahani hai
zulm aazad be-gunahi qaid
KHub andaz-e-hukmrani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.