jitni tezi se aa raha tha wo
jitnī tezī se aa rahā thā vo
lauT kar duur jā rahā thā vo
sirf rishte kī baat par yaaro
umr apnī chhupā rahā thā vo
titliyāñ jitnī sāmne aa.iiñ
rañg sab ke churā rahā thā vo
dil kisī se nahīñ milā us kā
haath sab se milā rahā thā vo
zaḳhm-ḳhurda sadāoñ ko 'ājiz'
ḳhāmushī se uThā rahā thā vo
jitni tezi se aa raha tha wo
lauT kar dur ja raha tha wo
sirf rishte ki baat par yaro
umr apni chhupa raha tha wo
titliyan jitni samne aain
rang sab ke chura raha tha wo
dil kisi se nahin mila us ka
hath sab se mila raha tha wo
zaKHm-KHurda sadaon ko 'ajiz'
KHamushi se uTha raha tha wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.