jiye jaane ke KHwab mein zinda
jiye jaane ke ḳhvāb meñ zinda
ik musalsal sarāb meñ zinda
zindagī ke liye taraste log
zindagī ke azaab meñ zinda
haath aa.ī nahīñ koī manzil
haiñ safar ke sarāb meñ zinda
ḳhvāb marte nahīñ haiñ zehnoñ ke
naġhma jaise rabāb meñ zinda
kisht-e-dil lahlahā.ī ashkoñ ne
rañg-e-duniyā sahāb meñ zinda
vo numū-ḳhez kaalī miTTī hai
shakl-e-ḳhushbū gulāb meñ zinda
roz rahte haiñ sānehe dar-pesh
ham haiñ goyā habāb meñ zinda
miir ke rañg meñ Dhale ash.ār
dard-o-ġham haiñ kitāb meñ zinda
jiye jaane ke KHwab mein zinda
ek musalsal sarab mein zinda
zindagi ke liye taraste log
zindagi ke azab mein zinda
hath aai nahin koi manzil
hain safar ke sarab mein zinda
KHwab marte nahin hain zehnon ke
naghma jaise rabab mein zinda
kisht-e-dil lahlahai ashkon ne
rang-e-duniya sahab mein zinda
wo numu-KHez kali miTTi hai
shakl-e-KHushbu gulab mein zinda
roz rahte hain sanehe dar-pesh
hum hain goya habab mein zinda
mir ke rang mein Dhale ashaar
dard-o-gham hain kitab mein zinda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.