Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jiyo jine do logon ko sabhi ko shad rahne do

Ahmad Raees

jiyo jine do logon ko sabhi ko shad rahne do

Ahmad Raees

MORE BYAhmad Raees

    jiyo jiine do logoñ ko sabhī ko shaad rahne do

    ye duniyā ḳhūbsūrat hai ise ābād rahne do

    na phir bhaḌkāo sho.aloñ ko na rakkho bam kitāboñ meñ

    ye bachche phuul se bachche haiñ in ko shaad rahne do

    dhuāñ uglegī ye dhartī lahū bārisheñ hoñgī

    na itnā zulm farmāo hameñ ābād rahne do

    ye jannat hai ise jannat-kada tā-abad rakhnā

    yahāñ ke zarre zarre ko gul-o-shamshād rahne do

    karo elaan ḳhushiyoñ bahāroñ ke tarānoñ

    har ik āñgan ko bastī ke mire ābād rahne do

    qayāmat aa.ī to sab raakh ho jā.egā ye gulshan

    sitam dhuup se is ko abhī āzād rahne do

    baḌī qurbāniyāñ de kar ise ham ne tarāshā hai

    isī paikar se vābasta hasīñ har yaad rahne do

    jiyo jine do logon ko sabhi ko shad rahne do

    ye duniya KHubsurat hai ise aabaad rahne do

    na phir bhaDkao shoalon ko na rakkho bam kitabon mein

    ye bachche phul se bachche hain in ko shad rahne do

    dhuan uglegi ye dharti lahu ki barishen hongi

    na itna zulm farmao hamein aabaad rahne do

    ye jannat hai ise jannat-kada hi ta-abad rakhna

    yahan ke zarre zarre ko gul-o-shamshad rahne do

    karo elan KHushiyon ka bahaaron ke taranon ka

    har ek aangan ko basti ke mere aabaad rahne do

    qayamat aai to sab rakh ho jaega ye gulshan

    sitam ki dhup se is ko abhi aazad rahne do

    baDi qurbaniyan de kar ise hum ne tarasha hai

    isi paikar se wabasta hasin har yaad rahne do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now