jo aah idhar nikli wo pahunchi hai udhar kya
jo aah idhar niklī vo pahuñchī hai udhar kyā
patthar ke kaleje pe bhī hotā hai asar kyā
ik saath na kushta kare jo dil ko jigar ko
abrū kī kamāñ kaisī hai vo tīr-e-nazar kyā
thā dahr meñ ābād kabhī apnā chaman bhī
is ujḌe chaman ko bhalā ab ḳhauf-e-sharar kyā
chubhtā hai ujālā sā jo ab merī nazar meñ
is tīra-shabī kī kabhī hotī hai sahar kyā
jab 'qalb' ko hī hasrat-e-dīdār nahīñ hai
phir aam bhī ho jalva agar lutf-e-nazar kyā
jo aah idhar nikli wo pahunchi hai udhar kya
patthar ke kaleje pe bhi hota hai asar kya
ek sath na kushta kare jo dil ko jigar ko
abru ki kaman kaisi hai wo tir-e-nazar kya
tha dahr mein aabaad kabhi apna chaman bhi
is ujDe chaman ko bhala ab KHauf-e-sharar kya
chubhta hai ujala sa jo ab meri nazar mein
is tira-shabi ki kabhi hoti hai sahar kya
jab 'qalb' ko hi hasrat-e-didar nahin hai
phir aam bhi ho jalwa agar lutf-e-nazar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.