jo aai KHushbu kabhi tere pairahan ki tarah
jo aai KHushbu kabhi tere pairahan ki tarah
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
jo aa.ī ḳhushbū kabhī tere pairahan kī tarah
gulāb jalne lage haiñ mire badan kī tarah
ye tere nāz-o-adā terī shoḳhī-o-shangī
haiñ dil-fareb bahut tere bāñkpan kī tarah
junūñ ko raas to aa.ī sukūnat-e-sahrā
kahāñ vo lutf magar terī anjuman kī tarah
haiñ gul hazāroñ shagufta chaman chaman lekin
kahāñ vo nik.hat-e-gul zaḳhm-e-jān-o-tan kī tarah
bahār chuum ke aa.ī hai terī zulf kahīñ
gulāb mahke haiñ ab ke tire badan kī tarah
nahīñ hai tāb-e-nazāra isī liye shāyad
vo ruḳh pe zulf sajā lete haiñ gahan kī tarah
na chhū ke aa.ī agar tere jism kī ḳhushbū
sabā hai mushk-bū kyuuñ āhū-e-ḳhutan kī tarah
na zikr-e-qais kahīñ hai na nisbat-e-farhād
badal ga.ī hai mohabbat bhī fikr-o-fan kī tarah
kahāñ kahāñ ho rafū chāragar se ab 'ḳhāvar'
jigar bhī chaak huā jaa.e pairahan kī tarah
jo aai KHushbu kabhi tere pairahan ki tarah
gulab jalne lage hain mere badan ki tarah
ye tere naz-o-ada teri shoKHi-o-shangi
hain dil-fareb bahut tere bankpan ki tarah
junun ko ras to aai sukunat-e-sahra
kahan wo lutf magar teri anjuman ki tarah
hain gul hazaron shagufta chaman chaman lekin
kahan wo nikhat-e-gul zaKHm-e-jaan-o-tan ki tarah
bahaar chum ke aai hai teri zulf kahin
gulab mahke hain ab ke tere badan ki tarah
nahin hai tab-e-nazara isi liye shayad
wo ruKH pe zulf saja lete hain gahan ki tarah
na chhu ke aai agar tere jism ki KHushbu
saba hai mushk-bu kyun aahu-e-KHutan ki tarah
na zikr-e-qais kahin hai na nisbat-e-farhad
badal gai hai mohabbat bhi fikr-o-fan ki tarah
kahan kahan ho rafu chaaragar se ab 'KHawar'
jigar bhi chaak hua jae pairahan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.