jo aashiq ki abru ka KHam dekhte hain
jo āshiq ki abrū kā ḳham dekhte haiñ
usī ḳham ko tāq-e-haram dekhte haiñ
samajh-būjh apnī to kuchh aur hī hai
sanam ko nahīñ ham sanam dekhte haiñ
nazāra hai dīdār-e-dilbar kā jin ko
vo kab sair-e-bāġh-e-iram dekhte haiñ
tamāshā nazar aaya qudrat kā nādir
kaheñ kyā ki yaaro jo ham dekhte haiñ
michī aañkh jab thī bahut sair dekhī
khulī chashm ab hai to kam dekhte haiñ
samajh lo haiñ mahrūm lazzāt-e-dīñ se
jo duniyā ke nāz-o-ni.am dekhte haiñ
jo aashiq ki abru ka KHam dekhte hain
usi KHam ko taq-e-haram dekhte hain
samajh-bujh apni to kuchh aur hi hai
sanam ko nahin hum sanam dekhte hain
nazara hai didar-e-dilbar ka jin ko
wo kab sair-e-bagh-e-iram dekhte hain
tamasha nazar aaya qudrat ka nadir
kahen kya ki yaro jo hum dekhte hain
michi aankh jab thi bahut sair dekhi
khuli chashm ab hai to kam dekhte hain
samajh lo hain mahrum lazzat-e-din se
jo duniya ke naz-o-niam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.