jo aasman pe ghaTa chha gai to kya hoga
jo āsmāñ pe ghaTā chhā ga.ī to kyā hogā
yakāyak aap kī yaad aa ga.ī to kyā hogā
abhī to dil hai ġham-e-āshiqī se begāna
nazar nazar se jo Takrā ga.ī to kyā hogā
rahe jo hosh bhī qaa.em na vaqt-e-nazzāra
nigāh-e-shauq bhī ghabrā ga.ī to kyā hogā
muhāl jur.at-e-iz.hār-e-mudda.ā na sahī
jo us jabīñ pe shikan aa ga.ī to kyā hogā
kahāñ rahegā guloñ kā ye nāz-e-nik.hat-o-rañg
ḳhizāñ bahār se Takrā ga.ī to kyā hogā
agarche dil meñ liye hoñ hazār-hā shikve
nigāh-e-yār jo sharmā ga.ī to kyā hogā
malā.ika na kareñ naaz apne sajdoñ par
mirī jabīñ ye sharaf pā ga.ī to kyā hogā
chalā huuñ apne muqaddar ke pech suljhāne
vo zulf aur bhī bal khā ga.ī to kyā hogā
vo baat raaz kī pinhāñ jo dil meñ hai 'nudrat'
darūn-e-sher agar aa ga.ī to kyā hogā
jo aasman pe ghaTa chha gai to kya hoga
yakayak aap ki yaad aa gai to kya hoga
abhi to dil hai gham-e-ashiqi se begana
nazar nazar se jo Takra gai to kya hoga
rahe jo hosh bhi qaem na waqt-e-nazzara
nigah-e-shauq bhi ghabra gai to kya hoga
muhaal jurat-e-izhaar-e-muddaa na sahi
jo us jabin pe shikan aa gai to kya hoga
kahan rahega gulon ka ye naz-e-nikhat-o-rang
KHizan bahaar se Takra gai to kya hoga
agarche dil mein liye hon hazar-ha shikwe
nigah-e-yar jo sharma gai to kya hoga
malaika na karen naz apne sajdon par
meri jabin ye sharaf pa gai to kya hoga
chala hun apne muqaddar ke pech suljhane
wo zulf aur bhi bal kha gai to kya hoga
wo baat raaz ki pinhan jo dil mein hai 'nudrat'
darun-e-sher agar aa gai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.