jo ab se pahle tha lahja nahin wo aaj mera
jo ab se pahle thā lahja nahīñ vo aaj mirā
na jaane ruuTh gayā mujh se kyoñ mizāj mirā
banā diyā hai tujhe mehnatoñ se rashk-e-iram
zamīn ye hai tire vāste ḳhirāj mirā
jahāñ muaaf kiyā qātiloñ ko munsif ne
vahīñ pe darj kiyā maiñ ne ehtijāj mirā
har ik vajūd meñ maiñ huuñ harārateñ ban kar
hai zindagī ke anāsir meñ imtizāj mirā
mirī re.āyā kabhī mujh se munharif na huī
'sharar' hamesha rahā raushnī pe raaj mirā
jo ab se pahle tha lahja nahin wo aaj mera
na jaane ruTh gaya mujh se kyon mizaj mera
bana diya hai tujhe mehnaton se rashk-e-iram
zamin ye hai tere waste KHiraj mera
jahan muaf kiya qatilon ko munsif ne
wahin pe darj kiya main ne ehtijaj mera
har ek wajud mein main hun hararaten ban kar
hai zindagi ke anasir mein imtizaj mera
meri reaya kabhi mujh se munharif na hui
'sharar' hamesha raha raushni pe raj mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.