jo ab tak naw ye Dubi nahin hai
jo ab tak naav ye Duubī nahīñ hai
to sāhil par bhī bechainī nahīñ hai
chalo ham bhī vafā se baaz aa.e
mohabbat koī majbūrī nahīñ hai
zarā tārīkiyoñ ko bhī pukāro
ki itnī raushnī achchhī nahīñ hai
abhī se kāñptā hai sham.a kā dil
abhī us ne naqāb ulTī nahīñ hai
rahā kartī hai hasrat ban ke dil meñ
matā-e-ārzū luTtī nahīñ hai
hayāt-e-jāvedāñ paane kī ḳhātir
hayāt-e-muḳhtasar chhūTī nahīñ hai
'imām' aa.eñ zarā us bazm tak vo
jinheñ ehsās-e-mahrūmī nahīñ hai
jo ab tak naw ye Dubi nahin hai
to sahil par bhi bechaini nahin hai
chalo hum bhi wafa se baz aae
mohabbat koi majburi nahin hai
zara tarikiyon ko bhi pukaro
ki itni raushni achchhi nahin hai
abhi se kanpta hai shama ka dil
abhi us ne naqab ulTi nahin hai
raha karti hai hasrat ban ke dil mein
mata-e-arzu luTti nahin hai
hayat-e-jawedan pane ki KHatir
hayat-e-muKHtasar chhuTi nahin hai
'imam' aaen zara us bazm tak wo
jinhen ehsas-e-mahrumi nahin hai
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 227)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.