jo achchhe hain unki kahani bhi achchhi
jo achchhe haiñ un kī kahānī bhī achchhī
laḌakpan bhī achchhā javānī bhī achchhī
tirī mehrbānī na achchhī ho kyuuñ kar
ki hai terī nā-mehrbānī bhī achchhī
dar-e-yār se ham ko uThnā hai mushkil
jo aisī ho to nā-tavānī bhī achchhī
tire tiir ko apnā dil kyuuñ na deñ ham
nishāna bhī achchhā nishānī bhī achchhī
jo ho sidq-e-dil se koī sunñe vaalā
to vallāh jhūTī kahānī bhī achchhī
kahīñ ishq meñ bad-gumānī burī hai
kahīñ ishq meñ bad-gumānī bhī achchhī
mai-e-nāb kī qadr ham jānte haiñ
na.ī to na.ī ye purānī bhī achchhī
na ho dil meñ lekin mire dil ke haq meñ
tumhārī mohabbat zabānī bhī achchhī
agar 'nūh' kī sher-goī hai behtar
to hai 'nūh' kī sher-ḳhvānī bhī achchhī
jo achchhe hain un ki kahani bhi achchhi
laDakpan bhi achchha jawani bhi achchhi
teri mehrbani na achchhi ho kyun kar
ki hai teri na-mehrbani bhi achchhi
dar-e-yar se hum ko uThna hai mushkil
jo aisi ho to na-tawani bhi achchhi
tere tir ko apna dil kyun na den hum
nishana bhi achchha nishani bhi achchhi
jo ho sidq-e-dil se koi sunne wala
to wallah jhuTi kahani bhi achchhi
kahin ishq mein bad-gumani buri hai
kahin ishq mein bad-gumani bhi achchhi
mai-e-nab ki qadr hum jaante hain
nai to nai ye purani bhi achchhi
na ho dil mein lekin mere dil ke haq mein
tumhaari mohabbat zabani bhi achchhi
agar 'nuh' ki sher-goi hai behtar
to hai 'nuh' ki sher-KHwani bhi achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.