jo adu meri jaan ke nikle
jo 'adū merī jaan ke nikle
mere hī ḳhāndān ke nikle
vo to ban hī ga.e the apne vakīl
ham hī kachche zabān ke nikle
phir rahe haiñ vo ho ke ḳhāna-ba-dosh
vo jo mālik makān ke nikle
vo bhī vahm-o-gumān ke nikle
ham bhī vahm-o-gumān ke nikle
un ke jaane se mujh ko ḳhatra hai
vo jabhī yaañ se jaan ke nikle
us ke badle the der se tevar
par achānak zamān ke nikle
kar ga.e haiñ nishāna apnā ḳhatā
tiir dil kī kamān ke nikle
dil kī bāteñ 'naqī' kī sun bhī liiñ
vo bahut tez kaan ke nikle
jo 'adu meri jaan ke nikle
mere hi KHandan ke nikle
wo to ban hi gae the apne wakil
hum hi kachche zaban ke nikle
phir rahe hain wo ho ke KHana-ba-dosh
wo jo malik makan ke nikle
wo bhi wahm-o-guman ke nikle
hum bhi wahm-o-guman ke nikle
un ke jaane se mujh ko KHatra hai
wo jabhi yan se jaan ke nikle
us ke badle the der se tewar
par achanak zaman ke nikle
kar gae hain nishana apna KHata
tir dil ki kaman ke nikle
dil ki baaten 'naqi' ki sun bhi lin
wo bahut tez kan ke nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.