jo ahraman se paDa wasta mafar na hua
jo ahraman se paḌā vāsta mafar na huā
kisī bhī baat pe raazī vo fitna-gar na huā
na sochā pahle ye ushshāq kahte phirte haiñ
kareñge kyā koī va.ada vafā agar na huā
ye beḌā ġharq huā jis kī nā-ḳhudā.ī meñ
vo kah rahā hai koī mujh sā dīda-var na huā
kareñ jo va.ada vo ab das hazār saal kā ho
hazār saal kā da.avā to mo'atabar na huā
ye kūcha ishq kā hai ishq kā are 'nazmī'
idhar na hogā kabhī yaas kā guzar na huā
jo ahraman se paDa wasta mafar na hua
kisi bhi baat pe raazi wo fitna-gar na hua
na socha pahle ye ushshaq kahte phirte hain
karenge kya koi wada wafa agar na hua
ye beDa gharq hua jis ki na-KHudai mein
wo kah raha hai koi mujh sa dida-war na hua
karen jo wada wo ab das hazar sal ka ho
hazar sal ka dawa to mo'atabar na hua
ye kucha ishq ka hai ishq ka are 'nazmi'
idhar na hoga kabhi yas ka guzar na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.