jo anis-e-dil nahin hai jo amin-e-gham nahin hai
jo anīs-e-dil nahīñ hai jo amīn-e-ġham nahīñ hai
koī aur shai hai shāyad vo tirā karam nahīñ hai
mujhe koī ġham nahīñ thā mujhe koī ġham nahīñ hai
mire haal par kisī kā ye karam bhī kam nahīñ hai
mai-e-zindagī bhī hotī mai-e-angbīñ se saaqī
tire mai-kade meñ shāyad koī jām-e-jam nahīñ hai
rah-o-rasm-e-‘āshiqī meñ jo kiyā hai tū ne ab tak
vo sulūk-e-mujrimāna abhī muḳhtatam nahīñ hai
kisī be-ruḳhī pe un kī na churāo un se nazreñ
ki mazāq-e-dilbarī hai ye koī sitam nahīñ hai
tirī maslahat pe hamdam mujhe shak nahīñ hai lekin
ye fareb-e-muḳhlisāna to javāb-e-ġham nahīñ hai
vo shu'ūr-e-ġham 'atā hai mujhe fitratan azal se
ki shikast-e-dil pe 'bāsit' mirī aañkh nam nahīñ hai
jo anis-e-dil nahin hai jo amin-e-gham nahin hai
koi aur shai hai shayad wo tera karam nahin hai
mujhe koi gham nahin tha mujhe koi gham nahin hai
mere haal par kisi ka ye karam bhi kam nahin hai
mai-e-zindagi bhi hoti mai-e-angbin se saqi
tere mai-kade mein shayad koi jam-e-jam nahin hai
rah-o-rasm-e-‘ashiqi mein jo kiya hai tu ne ab tak
wo suluk-e-mujrimana abhi muKHtatam nahin hai
kisi be-ruKHi pe un ki na churao un se nazren
ki mazaq-e-dilbari hai ye koi sitam nahin hai
teri maslahat pe hamdam mujhe shak nahin hai lekin
ye fareb-e-muKHlisana to jawab-e-gham nahin hai
wo shu'ur-e-gham 'ata hai mujhe fitratan azal se
ki shikast-e-dil pe 'basit' meri aankh nam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.