jo apna ban na sake us se kya shikayat ho
jo apnā ban na sake us se kyā shikāyat ho
gila to us se kareñ jis se kuchh rifāqat ho
ajiib doġhle kirdār kā vo mālik hai
jo sab se kahtā hai tum āḳhirī mohabbat ho
bas is lihāz se be-shak anā-parast haiñ ham
ham aisī bazm meñ jaate haiñ jis meñ rāhat ho
maiñ is natīje pe pahuñchī huuñ dekh kar duniyā
vo pyaar pyaar nahīñ jis meñ bas tijārat ho
ta'alluqāt haiñ mahdūd mere 'zarqā-nasīm’
usī se miltī huuñ maiñ jis meñ kuchh sharāfat ho
jo apna ban na sake us se kya shikayat ho
gila to us se karen jis se kuchh rifaqat ho
ajib doghle kirdar ka wo malik hai
jo sab se kahta hai tum aaKHiri mohabbat ho
bas is lihaz se be-shak ana-parast hain hum
hum aisi bazm mein jate hain jis mein rahat ho
main is natije pe pahunchi hun dekh kar duniya
wo pyar pyar nahin jis mein bas tijarat ho
ta'alluqat hain mahdud mere 'zarqa-nasim’
usi se milti hun main jis mein kuchh sharafat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.