jo apna kaam tha wo kar chale hain
jo apnā kaam thā vo kar chale haiñ
musāfir apne apne ghar chale haiñ
hamārī gardanoñ pe jaane kitne
amīr-e-shahr ke ḳhanjar chale haiñ
sabhī ahbāb the mahfil meñ lekin
na jaane ab kahāñ uTh kar chale haiñ
ka.ī logoñ ne fan ko bech Daalā
ka.ī logoñ ke is se ghar chale haiñ
mujhe ahbāb 'tanhā' kar ga.e phir
tirī jānib ka.ī lashkar chale haiñ
jo apna kaam tha wo kar chale hain
musafir apne apne ghar chale hain
hamari gardanon pe jaane kitne
amir-e-shahr ke KHanjar chale hain
sabhi ahbab the mahfil mein lekin
na jaane ab kahan uTh kar chale hain
kai logon ne fan ko bech Dala
kai logon ke is se ghar chale hain
mujhe ahbab 'tanha' kar gae phir
teri jaanib kai lashkar chale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.