jo apne-ap se bezar ho gae hain hum
jo apne-āp se bezār ho ga.e haiñ ham
safar ke vāste tayyār ho ga.e haiñ ham
hamārī ruuh ke chhāloñ se lafz riste haiñ
ḳhud apnī aah ke ash.ār ho ga.e haiñ ham
bataur jism jo pābandiyāñ haiñ so to haiñ
bataur zehn bhī lachhār ho ga.e haiñ ham
badalte daur meñ āsāniyoñ ko ḳhatra hai
dinoñ-din is liye dushvār ho ga.e haiñ ham
kahāñ le jā.egī jaane ye justujū ham ko
talab kī raah meñ mismār ho ga.e haiñ ham
jo apne-ap se bezar ho gae hain hum
safar ke waste tayyar ho gae hain hum
hamari ruh ke chhaalon se lafz riste hain
KHud apni aah ke ashaar ho gae hain hum
bataur jism jo pabandiyan hain so to hain
bataur zehn bhi lachhaar ho gae hain hum
badalte daur mein aasaniyon ko KHatra hai
dinon-din is liye dushwar ho gae hain hum
kahan le jaegi jaane ye justuju hum ko
talab ki rah mein mismar ho gae hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.