jo apne jurm par kabhi nadim nahin rahe
jo apne jurm par kabhī nādim nahīñ rahe
un se kabhī bhī mere marāsim nahīñ rahe
baaqī hai ab bhī dahr meñ vo ḳhūb-rū mahal
lekin ye jis kā haq thā vo hākim nahīñ rahe
mazlūm kahte kyoñ phire ham apne aap ko
pahle kī tarh jab ki vo zālim nahīñ rahe
kyoñ boltā nahīñ hai koī jahl ke ḳhilāf
kyā is jahāñ meñ ab koī 'ālim nahīñ rahe
lā'nat ho munsifoñ pe 'adālat pe vaa.e ho
mujrim hī is jahāñ meñ jo mujrim nahīñ rahe
kis ko dikhā.eñ dāġh-e-jigar jā ke ai 'suhail'
ab koī bhī hamāre mahārim nahīñ rahe
jo apne jurm par kabhi nadim nahin rahe
un se kabhi bhi mere marasim nahin rahe
baqi hai ab bhi dahr mein wo KHub-ru mahal
lekin ye jis ka haq tha wo hakim nahin rahe
mazlum kahte kyon phire hum apne aap ko
pahle ki tarh jab ki wo zalim nahin rahe
kyon bolta nahin hai koi jahl ke KHilaf
kya is jahan mein ab koi 'alim nahin rahe
la'nat ho munsifon pe 'adalat pe wae ho
mujrim hi is jahan mein jo mujrim nahin rahe
kis ko dikhaen dagh-e-jigar ja ke ai 'suhail'
ab koi bhi hamare mahaarim nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.