jo apne sar pe sar-e-shaKH-e-ashiyan guzri
jo apne sar pe sar-e-shāḳh-e-āshiyāñ guzrī
kisī ke sar pe qafas meñ bhī vo kahāñ guzrī
usī kī yaad hai mahtāb-e-shām-hā-e-firāq
vo ek shab ki sar-e-kū-e-mah-vashāñ guzrī
jahāñ meñ shauq kabhī rā.egāñ nahīñ jaatā
maiñ kyuuñ kahūñ ki mirī umr rā.egāñ guzrī
jabīn-e-shauq hamārī galī galī meñ jhukī
ki har galī se tirī ḳhāk-e-āstāñ guzrī
jo apne sar pe sar-e-shaKH-e-ashiyan guzri
kisi ke sar pe qafas mein bhi wo kahan guzri
usi ki yaad hai mahtab-e-sham-ha-e-firaq
wo ek shab ki sar-e-ku-e-mah-washan guzri
jahan mein shauq kabhi raegan nahin jata
main kyun kahun ki meri umr raegan guzri
jabin-e-shauq hamari gali gali mein jhuki
ki har gali se teri KHak-e-astan guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.