jo apni chashm-e-tar se dil ka para chhoD jata hai
jo apnī chashm-e-tar se dil kā paara chhoḌ jaatā hai
vahī mahfil meñ ġham kā isti'āra chhoḌ jaatā hai
miyāñ ġhurbat meñ har ik be-sahārā chhoḌ jaatā hai
añdherā ho to saaya bhī hamārā chhoḌ jaatā hai
jidhar jalve bikharte haiñ udhar kartā nahīñ nazreñ
shikast-e-ḳhvāb ke Dar se nazāra chhoḌ jaatā hai
mujhe sairāb kartā jā agar tū ik samundar hai
faqat pyāse pe kyuuñ ilzām saarā chhoḌ jaatā hai
har ik hai mahv-e-hairat vo karishma-sāz hai aisā
sar-e-mahfil jo ik rangīñ nazāra chhoḌ jaatā hai
maiñ aksar kashtī-e-mauj-e-balā par sair kartā huuñ
mujhe sāhil pe us kā ik ishāra chhoḌ jaatā hai
'ajab hai merā mohsin bhī ki jaate vaqt vo aksar
mirī palkoñ pe ik raushan sitāra chhoḌ jaatā hai
jo apni chashm-e-tar se dil ka para chhoD jata hai
wahi mahfil mein gham ka isti'ara chhoD jata hai
miyan ghurbat mein har ek be-sahaara chhoD jata hai
andhera ho to saya bhi hamara chhoD jata hai
jidhar jalwe bikharte hain udhar karta nahin nazren
shikast-e-KHwab ke Dar se nazara chhoD jata hai
mujhe sairab karta ja agar tu ek samundar hai
faqat pyase pe kyun ilzam sara chhoD jata hai
har ek hai mahw-e-hairat wo karishma-saz hai aisa
sar-e-mahfil jo ek rangin nazara chhoD jata hai
main aksar kashti-e-mauj-e-bala par sair karta hun
mujhe sahil pe us ka ek ishaara chhoD jata hai
'ajab hai mera mohsin bhi ki jate waqt wo aksar
meri palkon pe ek raushan sitara chhoD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.