jo apni hi rahi na aisi begani pe lanat ho
jo apnī hī rahī na aisī begānī pe la.anat ho
ki us ke makr par aur us kī nādānī pe la.anat ho
tū ajnabiyoñ kī tarh dekhtā hai mujh ko hairat se
ta.ajjub par tirī hairat pe hairānī pe la.anat ho
nahīñ miltī bulandī itnī āsānī se duniyā meñ
jo āsānī se hāsil ho us āsānī pe la.anat ho
jise jaane faqat ma.ashūq us chāhat pe rahmat ho
jise jaane sabhī us ishq-e-elānī pe la.anat ho
vo ab nādim huā hai ḳhud pe jab kuchh bhī nahīñ baaqī
ab us kī is nadāmat par pashemānī pe la.anat ho
jo apni hi rahi na aisi begani pe lanat ho
ki us ke makr par aur us ki nadani pe lanat ho
tu ajnabiyon ki tarh dekhta hai mujh ko hairat se
tajjub par teri hairat pe hairani pe lanat ho
nahin milti bulandi itni aasani se duniya mein
jo aasani se hasil ho us aasani pe lanat ho
jise jaane faqat mashuq us chahat pe rahmat ho
jise jaane sabhi us ishq-e-elani pe lanat ho
wo ab nadim hua hai KHud pe jab kuchh bhi nahin baqi
ab us ki is nadamat par pashemani pe lanat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.