jo apni KHwahishon mein tu ne kuchh kami kar li
jo apnī ḳhvāhishoñ meñ tū ne kuchh kamī kar lī
to phir ye jaan ki tū ne payambarī kar lī
tujhe maiñ zindagī apnī samajh rahā thā magar
tire baġhair basar maiñ ne zindagī kar lī
pahuñch gayā huuñ maiñ manzil pe gardish-e-daurāñ
Thahar bhī jā ki bahut tū ne rahbarī kar lī
jo mere gaañv ke khetoñ meñ bhuuk ugne lagī
mire kisānoñ ne shahroñ meñ naukrī kar lī
jo sachchī baat thī vo maiñ ne barmalā kah dī
yuuñ apne dostoñ se maiñ ne dushmanī kar lī
mashīnī ahd meñ ehsās-e-zindagī ban kar
dukhī diloñ ke liye maiñ ne shā.erī kar lī
ġharīb-e-shahr to faaqe se mar gayā 'ārif'
amīr-e-shahr ne hiire se ḳhud-kushī kar lī
jo apni KHwahishon mein tu ne kuchh kami kar li
to phir ye jaan ki tu ne payambari kar li
tujhe main zindagi apni samajh raha tha magar
tere baghair basar main ne zindagi kar li
pahunch gaya hun main manzil pe gardish-e-dauran
Thahar bhi ja ki bahut tu ne rahbari kar li
jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi
mere kisanon ne shahron mein naukri kar li
jo sachchi baat thi wo main ne barmala kah di
yun apne doston se main ne dushmani kar li
mashini ahd mein ehsas-e-zindagi ban kar
dukhi dilon ke liye main ne shaeri kar li
gharib-e-shahr to faqe se mar gaya 'arif'
amir-e-shahr ne hire se KHud-kushi kar li
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 05.09.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.