jo ashk aankhon mein tham gae hain
jo ashk āñkhoñ meñ tham ga.e haiñ
tire tasavvur meñ jam ga.e haiñ
jo tū masīhā banā hai merā
kidhar na jaane ye ġham ga.e haiñ
khaḌe haiñ paaoñ pe apne ham to
jahāñ sahāre the kam ga.e haiñ
jo terī mahfil meñ hañste aa.e
vo le ke āñkhoñ ko nam ga.e haiñ
kabhī na lauTāyā us ne ḳhālī
jo le ke dāman ye ham ga.e haiñ
jo ashk aankhon mein tham gae hain
tere tasawwur mein jam gae hain
jo tu masiha bana hai mera
kidhar na jaane ye gham gae hain
khaDe hain paon pe apne hum to
jahan sahaare the kam gae hain
jo teri mahfil mein hanste aae
wo le ke aankhon ko nam gae hain
kabhi na lauTaya us ne KHali
jo le ke daman ye hum gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.