jo ashk barsa rahe hain sahib
jo ashk barsā rahe haiñ sāhib
ye rā.egāñ jā rahe haiñ sāhib
yahī taġhayyur to zindagī hai
abas ghule jā rahe haiñ sāhib
jo ho gayā hai so ho gayā hai
fuzūl pachhtā rahe haiñ sāhib
ye sirf gintī ke chaar din haiñ
baḌe maze aa rahe haiñ sāhib
abhī to ye ḳhaak ho rahegā
jo jism chamkā rahe haiñ sāhib
koī irāda na koī jaada
kahāñ kidhar jā rahe haiñ sāhib
idhar zarā ġhaur se to dekheñ
ye phuul murjhā rahe haiñ sāhib
jahāñ kī nāyāft ke sabab meñ
jahāñ kā ġham khā rahe haiñ sāhib
ye maiñ nahīñ huuñ ye merā dil hai
ye kis ko samjhā rahe haiñ sāhib
sukūn kī niiñd soiyegā
vo din bhī bas aa rahe haiñ sāhib
jo aap ke hijr meñ mile haiñ
ye din gine jā rahe haiñ sāhib
bas ab nahīñ kuchh bhī yaad mujh ko
bas aap yaad aa rahe haiñ sāhib
jo ashk barsa rahe hain sahib
ye raegan ja rahe hain sahib
yahi taghayyur to zindagi hai
abas ghule ja rahe hain sahib
jo ho gaya hai so ho gaya hai
fuzul pachhta rahe hain sahib
ye sirf ginti ke chaar din hain
baDe maze aa rahe hain sahib
abhi to ye KHak ho rahega
jo jism chamka rahe hain sahib
koi irada na koi jada
kahan kidhar ja rahe hain sahib
idhar zara ghaur se to dekhen
ye phul murjha rahe hain sahib
jahan ki nayaft ke sabab mein
jahan ka gham kha rahe hain sahib
ye main nahin hun ye mera dil hai
ye kis ko samjha rahe hain sahib
sukun ki nind soiyega
wo din bhi bas aa rahe hain sahib
jo aap ke hijr mein mile hain
ye din gine ja rahe hain sahib
bas ab nahin kuchh bhi yaad mujh ko
bas aap yaad aa rahe hain sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.