jo ashk dil pe gire wo shumar kar na saki
jo ashk dil pe gire vo shumār kar na sakī
maiñ us ke jazboñ ko dil pe savār kar na sakī
vo kar rahā thā baġhāvat pe mujh ko āmāda
magar qabīle kī izzat pe vaar kar na sakī
vo sabz baaġh dikhātā thā mujh ko va.adoñ ke
ye aañkh us pe magar inhisār kar na sakī
bichhaḌ ke tujh se mirī ḳhud se jañg jaarī rahī
maiñ dil kī duniyā kabhī sāzgār kar na sakī
vo mere saath hai ham-zād kī tarah 'aiman'
maiñ jis pe hālat-e-dil āshkār kar na sakī
jo ashk dil pe gire wo shumar kar na saki
main us ke jazbon ko dil pe sawar kar na saki
wo kar raha tha baghawat pe mujh ko aamada
magar qabile ki izzat pe war kar na saki
wo sabz bagh dikhata tha mujh ko wadon ke
ye aankh us pe magar inhisar kar na saki
bichhaD ke tujh se meri KHud se jang jari rahi
main dil ki duniya kabhi sazgar kar na saki
wo mere sath hai ham-zad ki tarah 'aiman'
main jis pe haalat-e-dil aashkar kar na saki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.