jo ba-in gham bhi shadman guzri
jo ba-īñ ġham bhī shādmāñ guzrī
jaane vo zindagī kahāñ guzrī
dil se andesha-e-ḳhizāñ na gayā
go bahāroñ ke darmiyāñ guzrī
jitnī muddat maiñ un se duur rahā
utnī muddat balā-e-jāñ guzrī
yaad rakheñge āsmāñ vaale
mujh pe jo zer-e-āsmāñ guzrī
thī mire un ke darmiyāñ jo baat
vo zamāne pe kyuuñ garāñ guzrī
kis ko mālūm talḳhiyāñ merī
yuuñ to kahne ko shādmāñ guzrī
mujh pe guzrī jo umr bhar 'shafqat'
vo kisī aur par kahāñ guzrī
jo ba-in gham bhi shadman guzri
jaane wo zindagi kahan guzri
dil se andesha-e-KHizan na gaya
go bahaaron ke darmiyan guzri
jitni muddat main un se dur raha
utni muddat bala-e-jaan guzri
yaad rakhenge aasman wale
mujh pe jo zer-e-asman guzri
thi mere un ke darmiyan jo baat
wo zamane pe kyun garan guzri
kis ko malum talKHiyan meri
yun to kahne ko shadman guzri
mujh pe guzri jo umr bhar 'shafqat'
wo kisi aur par kahan guzri
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 510)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.