jo ba-rang-e-sahar dikhai diya
jo ba-rang-e-sahar dikhā.ī diyā
us kā husn-e-nazar dikhā.ī diyā
jis taraf bhī nigāh dauḌā.ī
sirf raqs-e-sharar dikhā.ī diyā
sab ke hāthoñ meñ aa ga.e patthar
jab shajar bā-samar dikhā.ī diyā
umr bhar jis kā intizār rahā
mujh se vo be-ḳhabar dikhā.ī diyā
us kī ḳhushiyāñ na pūchhiye jis ko
baa'd muddat ke ghar dikhā.ī diyā
dil se yak-bārgī duā niklī
jab pareshāñ bashar dikhā.ī diyā
aaj terī galī meñ charchā hai
ek āshufta-sar dikhā.ī diyā
baat mahloñ kī kar rahā thā magar
us ke andar khañDar dikhā.ī diyā
kar ke mujh ko asīr-e-ġham 'ajmal'
vo sitamgar na phir dikhā.ī diyā
jo ba-rang-e-sahar dikhai diya
us ka husn-e-nazar dikhai diya
jis taraf bhi nigah dauDai
sirf raqs-e-sharar dikhai diya
sab ke hathon mein aa gae patthar
jab shajar ba-samar dikhai diya
umr bhar jis ka intizar raha
mujh se wo be-KHabar dikhai diya
us ki KHushiyan na puchhiye jis ko
ba'd muddat ke ghar dikhai diya
dil se yak-bargi dua nikli
jab pareshan bashar dikhai diya
aaj teri gali mein charcha hai
ek aashufta-sar dikhai diya
baat mahlon ki kar raha tha magar
us ke andar khanDar dikhai diya
kar ke mujh ko asir-e-gham 'ajmal'
wo sitamgar na phir dikhai diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.