jo ba-zāhir udaas hote haiñ
log vo ḳhud-shanās hote haiñ
un ke andar kā mel mat pūchho
log jo ḳhush-libās hote haiñ
apnī qismat se bhī nahīñ vāqif
jo sitāra-shanās hote haiñ
bol duuñ aap kyā haiñ mere liye
aap jiine kī aas hote haiñ
pyaar vāloñ kī baat mat pūchho
duur rah kar bhī paas hote haiñ
kyā ajab log haiñ ye ahl-e-suḳhan
aam ho kar bhī ḳhaas hote haiñ
jo ba-zahir udas hote hain
log wo KHud-shanas hote hain
un ke andar ka mel mat puchho
log jo KHush-libas hote hain
apni qismat se bhi nahin waqif
jo sitara-shanas hote hain
bol dun aap kya hain mere liye
aap jine ki aas hote hain
pyar walon ki baat mat puchho
dur rah kar bhi pas hote hain
kya ajab log hain ye ahl-e-suKHan
aam ho kar bhi KHas hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.