jo baada mohabbat ka teri nosh kiya hai
jo baada mohabbat kā tirī nosh kiyā hai
yak baar vo aalam kuuñ farāmosh kiyā hai
ai sāqī-e-badmast mai-e-ishq ne terī
le hosh mujhe hosh suuñ behosh kiyā hai
tujh bar meñ sajan jalva-numā surḳh qabā dekh
ḳhūn-e-dil-e-ushshāq ne phir josh kiyā hai
jis din suuñ mire bar meñ vo gul-pairahan aaya
us din suuñ mujh āġhosh ko gul-posh kiyā hai
sīmīñ-badan āġhosh meñ dastā hai mirī yuuñ
jiyoñ maah kuuñ haale ne ham-āġhosh kiyā hai
paayā hai mujhe sarv-qad-e-yār kā maa.il
mere suḳhan-e-rāst kuuñ jo gosh kiyā hai
'dā.ūd' ta.ajjub hai ki vo yār-e-vafādār
yak-bārgī āshiq kuuñ farāmosh kiyā hai
jo baada mohabbat ka teri nosh kiya hai
yak bar wo aalam kun faramosh kiya hai
ai saqi-e-badmast mai-e-ishq ne teri
le hosh mujhe hosh sun behosh kiya hai
tujh bar mein sajan jalwa-numa surKH qaba dekh
KHun-e-dil-e-ushshaq ne phir josh kiya hai
jis din sun mere bar mein wo gul-pairahan aaya
us din sun mujh aaghosh ko gul-posh kiya hai
simin-badan aaghosh mein dasta hai meri yun
jiyon mah kun haale ne ham-aghosh kiya hai
paya hai mujhe sarw-qad-e-yar ka mail
mere suKHan-e-rast kun jo gosh kiya hai
'daud' tajjub hai ki wo yar-e-wafadar
yak-bargi aashiq kun faramosh kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.