Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo baat dil mein thi kaghaz pe kab wo aai hai

Shareef Munawwar

jo baat dil mein thi kaghaz pe kab wo aai hai

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    jo baat dil meñ thī kāġhaz pe kab vo aa.ī hai

    ki ab qalam meñ to māñge raushnā.ī hai

    yahī nahīñ ki dhuāñ chubh rahā hai āñkhoñ meñ

    kuaañ bhī sāmne hai aur aqab meñ khaa.ī hai

    maiñ apne jism ke dhabbe chhupā.e phirtā huuñ

    mire libās se mahñgī mirī dhulā.ī hai

    jo tere qurb meñ guzrī na terī furqat meñ

    vo umr ham ne na-jāne kahāñ gañvā.ī hai

    sadaf haiñ ki guhar jhaag haiñ ki ret faqat

    hamāre vāste kyā le ke mauj aa.ī hai

    jo baat dil mein thi kaghaz pe kab wo aai hai

    ki ab qalam mein to mange ki raushnai hai

    yahi nahin ki dhuan chubh raha hai aankhon mein

    kuan bhi samne hai aur aqab mein khai hai

    main apne jism ke dhabbe chhupae phirta hun

    mere libas se mahngi meri dhulai hai

    jo tere qurb mein guzri na teri furqat mein

    wo umr hum ne na-jaane kahan ganwai hai

    sadaf hain ya ki guhar jhag hain ki ret faqat

    hamare waste kya le ke mauj aai hai

    Source :
    • Book : siip (Magzin) (Pg. 261)
    • Author : Nasiim Durraani
    • Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
    • Edition :  39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now