jo baat munh se nikalen to jurm hai apna
jo baat muñh se nikāleñ to jurm hai apnā
lahū ko raag banā leñ to jurm hai apnā
hayā se nīchī nigāhoñ ko band rakhnā hai
nazar kabhī jo uThā leñ to jurm hai apnā
laboñ pe mohr ho dil laakh TukḌe TukḌe ho
zabāñ se harf nikāleñ to jurm hai apnā
ye qaid-o-band ye pābandiyāñ zamāne kī
jo us se ruḳh ko phirā leñ to jurm hai apnā
jo baat munh se nikalen to jurm hai apna
lahu ko rag bana len to jurm hai apna
haya se nichi nigahon ko band rakhna hai
nazar kabhi jo uTha len to jurm hai apna
labon pe mohr ho dil lakh TukDe TukDe ho
zaban se harf nikalen to jurm hai apna
ye qaid-o-band ye pabandiyan zamane ki
jo us se ruKH ko phira len to jurm hai apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.