jo baat wajh-e-sukun hai dil-o-nazar ke liye
jo baat vaj.h-e-sukūñ hai dil-o-nazar ke liye
vahī hai dām-e-balā hastī-e-bashar ke liye
kise ḳhabar thī hai parvarda-e-shab-e-ālām
charāġh kitne bujhā.e haiñ jis sahar ke liye
kaheñ to kyā kaheñ un ko jo kho ke manzil hī
taras rahe haiñ faqat aaj tak safar ke liye
khulī na aañkh magar is ke bāvajūd un kī
fareb khā ga.e jo log umr-bhar ke liye
junūn-e-shauq na ho kam kisī qadam par bhī
ye ḳhizr-e-rāh hai dar-asl har safar ke liye
vo fasl-e-gul meñ jo sarmāya-e-dil-o-jāñ the
vahī nazāre qayāmat haiñ ab nazar ke liye
usī kī shakl nigāhoñ meñ phirtī rahtī hai
milā hai dāġh-e-alam jis se umr-bhar ke liye
'zubair' shauq-e-farāvāñ hī saath le ke chale
ki zād-e-rāh to kuchh chāhiye safar ke liye
jo baat wajh-e-sukun hai dil-o-nazar ke liye
wahi hai dam-e-bala hasti-e-bashar ke liye
kise KHabar thi hai parwarda-e-shab-e-alam
charagh kitne bujhae hain jis sahar ke liye
kahen to kya kahen un ko jo kho ke manzil hi
taras rahe hain faqat aaj tak safar ke liye
khuli na aankh magar is ke bawajud un ki
fareb kha gae jo log umr-bhar ke liye
junun-e-shauq na ho kam kisi qadam par bhi
ye KHizr-e-rah hai dar-asl har safar ke liye
wo fasl-e-gul mein jo sarmaya-e-dil-o-jaan the
wahi nazare qayamat hain ab nazar ke liye
usi ki shakl nigahon mein phirti rahti hai
mila hai dagh-e-alam jis se umr-bhar ke liye
'zubair' shauq-e-farawan hi sath le ke chale
ki zad-e-rah to kuchh chahiye safar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.