jo baaton mein qasam khata bahut hai
jo bātoñ meñ qasam khātā bahut hai
usī kī baat meñ dhokā bahut hai
kahīñ gumrāh maiñ bhī ho na jā.ūñ
ibādat kā mirī charchā bahut hai
shanāsā ho ke bhī nā-āshnā.ī
baḌe logoñ meñ ye hotā bahut hai
mirī āñkhoñ ne jab se tum ko dekhā
hasīñ lagtī mujhe duniyā bahut hai
agar ho azm manzil kā to 'maikash'
musāfir ke liye rastā bahut hai
jo baaton mein qasam khata bahut hai
usi ki baat mein dhoka bahut hai
kahin gumrah main bhi ho na jaun
ibaadat ka meri charcha bahut hai
shanasa ho ke bhi na-ashnai
baDe logon mein ye hota bahut hai
meri aankhon ne jab se tum ko dekha
hasin lagti mujhe duniya bahut hai
agar ho azm manzil ka to 'maikash'
musafir ke liye rasta bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.