jo bach gaya tha ab tak pindar bechte the
jo bach gayā thā ab tak pindār bechte the
dar ko bachā liyā thā dīvār bechte the
ik baar hī nahīñ vo har baar bechte the
bīmār thā maiñ un kā āzār bechte the
bāzār mere andar bāzār mere bāhar
bāzār meñ khaḌe the bāzār bechte the
sab se baḌī dukāñ thī bāzār meñ hamārī
apnī dukāñ meñ ham to raftār bechte the
dastār-bandiyoñ ke mausam guzar ga.e the
mausam guzar ga.e the dastār bechte the
mulzim bhī aur munsif shāh-o-gadā kī ḳhātir
sarkār ham banāte sarkār bechte the
āsār kā to biknā āsāñ nahīñ thā lekin
qīmat ghaTā ghaTā kar dushvār bechte the
bedard ne churāyā dīvān 'mus.hafī' kā
bechāre mus.hafī bhī ash.ār bechte the
jo bach gaya tha ab tak pindar bechte the
dar ko bacha liya tha diwar bechte the
ek bar hi nahin wo har bar bechte the
bimar tha main un ka aazar bechte the
bazar mere andar bazar mere bahar
bazar mein khaDe the bazar bechte the
sab se baDi dukan thi bazar mein hamari
apni dukan mein hum to raftar bechte the
dastar-bandiyon ke mausam guzar gae the
mausam guzar gae the dastar bechte the
mulzim bhi aur munsif shah-o-gada ki KHatir
sarkar hum banate sarkar bechte the
aasar ka to bikna aasan nahin tha lekin
qimat ghaTa ghaTa kar dushwar bechte the
bedard ne churaya diwan 'mushafi' ka
bechaare mushafi bhi ashaar bechte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.