jo baDa hai use chhoTe nahin achchhe lagte
jo baḌā hai use chhoTe nahīñ achchhe lagte
jis tarah peḌ ko paude nahīñ achchhe lagte
muntashir hotā hai shīrāza-e-millat jin se
un kitāboñ ke havāle nahīñ achchhe lagte
iḳhtilāfāt to ghar-ghar meñ haiñ maujūd magar
ghar kī har baat ke charche nahīñ achchhe lagte
sar meñ beTī ke bahut phail chukī hai chāñdī
phir bhī maañ baap ko rishte nahīñ achchhe lagte
kaise hī saḳht hoñ hālāt magar ai 'vāsif'
mujh ko taqdīr se shikve nahīñ achchhe lagte
jo baDa hai use chhoTe nahin achchhe lagte
jis tarah peD ko paude nahin achchhe lagte
muntashir hota hai shiraaza-e-millat jin se
un kitabon ke hawale nahin achchhe lagte
iKHtilafat to ghar-ghar mein hain maujud magar
ghar ki har baat ke charche nahin achchhe lagte
sar mein beTi ke bahut phail chuki hai chandi
phir bhi man bap ko rishte nahin achchhe lagte
kaise hi saKHt hon haalat magar ai 'wasif'
mujh ko taqdir se shikwe nahin achchhe lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.