jo bahar-e-watan marne ko tayyar nahin hai
jo bahar-e-vatan marne ko tayyār nahīñ hai
jiine kā kisī taur vo haqdār nahīñ hai
kyā fā.eda is shikva-o-faryād-o-fuġhāñ se
sunñe ko jise koī bhī tayyār nahīñ hai
vaa.iz se kaho jā ke kare va.az kahīñ aur
koī bhī to is bazm meñ hushiyār nahīñ hai
karnī hai bapā phir mujhe ik shorish-e-daurāñ
ai dosto naala mirā be-kār nahīñ hai
jis jā pe baseñ ġhairat-e-millī ke muhāfiz
jannat hai vo zindān kī dīvār nahīñ hai
bhaḌkeñge abhī aur bhī jazbāt ke sho.ale
ātish ye tah-e-ḳhāk hai bedār nahīñ hai
'bismil' ne ishāroñ meñ kahī dil kī kahānī
bharpūr javānī kī ye guftār nahīñ hai
jo bahar-e-watan marne ko tayyar nahin hai
jine ka kisi taur wo haqdar nahin hai
kya faeda is shikwa-o-faryaad-o-fughan se
sunne ko jise koi bhi tayyar nahin hai
waiz se kaho ja ke kare waz kahin aur
koi bhi to is bazm mein hushiyar nahin hai
karni hai bapa phir mujhe ek shorish-e-dauran
ai dosto nala mera be-kar nahin hai
jis ja pe basen ghairat-e-milli ke muhafiz
jannat hai wo zindan ki diwar nahin hai
bhaDkenge abhi aur bhi jazbaat ke shoale
aatish ye tah-e-KHak hai bedar nahin hai
'bismil' ne ishaaron mein kahi dil ki kahani
bharpur jawani ki ye guftar nahin hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 86)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.