jo bane aaina wo tera tamasha dekhe
jo bane aa.ina vo terā tamāsha dekhe
apnī sūrat meñ tire husn kā jalva dekhe
haa.e kis tarah tujhe āshiq-e-shaidā dekhe
terā saaya bhī nahīñ hai ki jo saaya dekhe
terī shāneñ haiñ hazāroñ tire jalve lākhoñ
do hī āñkheñ hoñ milī jis ko vo kyā kyā dekhe
qais ko hosh nahīñ lab pe anā lailā hai
apne dīvāne ko aa kar zarā lailā dekhe
dekhne vaale tire dekhte haiñ yuuñ tujh ko
jaise dariyā kī taraf pyaas kā maarā dekhe
kyā samajh rakkhā hai allāh ko tū ne 'akbar'
āñkheñ khole hue baiThā hai ki jalva dekhe
jo bane aaina wo tera tamasha dekhe
apni surat mein tere husn ka jalwa dekhe
hae kis tarah tujhe aashiq-e-shaida dekhe
tera saya bhi nahin hai ki jo saya dekhe
teri shanen hain hazaron tere jalwe lakhon
do hi aankhen hon mili jis ko wo kya kya dekhe
qais ko hosh nahin lab pe ana laila hai
apne diwane ko aa kar zara laila dekhe
dekhne wale tere dekhte hain yun tujh ko
jaise dariya ki taraf pyas ka mara dekhe
kya samajh rakkha hai allah ko tu ne 'akbar'
aankhen khole hue baiTha hai ki jalwa dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.