jo bashar tufan se Takraata nahin
jo bashar tūfāñ se Takrātā nahīñ
apnī azmat ko samajh paatā nahīñ
justujū meñ ḳhud jo kho jaatā nahīñ
gauhar-e-maqsūd ko paatā nahīñ
kis ko dekheñ is bharī duniyā meñ ham
koī bhī tum sā nazar aatā nahīñ
sochiye to dil hī meñ maujūd hai
dekhiye to vo nazar aatā nahīñ
kyā qayāmat hai faroġh-e-fasl-e-gul
āshiyāñ apnā nazar aatā nahīñ
bad-gumāñ kyoñ mujh se nāseh ho gayā
maiñ kahīñ aatā nahīñ jaatā nahīñ
jo ġham-e-ulfat kā ḳhūgar ho gayā
vo ġham-e-daurāñ se ghabrātā nahīñ
luT chukā huuñ bārhā 'sābir' magar
ishq se dil ab bhī baaz aatā nahīñ
jo bashar tufan se Takraata nahin
apni azmat ko samajh pata nahin
justuju mein KHud jo kho jata nahin
gauhar-e-maqsud ko pata nahin
kis ko dekhen is bhari duniya mein hum
koi bhi tum sa nazar aata nahin
sochiye to dil hi mein maujud hai
dekhiye to wo nazar aata nahin
kya qayamat hai farogh-e-fasl-e-gul
aashiyan apna nazar aata nahin
bad-guman kyon mujh se naseh ho gaya
main kahin aata nahin jata nahin
jo gham-e-ulfat ka KHugar ho gaya
wo gham-e-dauran se ghabraata nahin
luT chuka hun barha 'sabir' magar
ishq se dil ab bhi baz aata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.