jo bhala hai use bura mat kar
Interesting Fact
(In the refrain of Muhammad Khan Faiz's Ghazal 'Mubtala-e-Gham-o-Jafaa mat kar)
jo bhalā hai use burā mat kar
ḳhud se bhī bārhā milā mat kar
ye hai bastī udaas logoñ kī
qahqaha maar kar hañsā mat kar
baaġh hai dil fareb donoñ se
phuul ko ḳhaar se judā mat kar
roz kī la.an-ta.an Thiik nahīñ
ghar meñ ā.īne ko rakhā mat kar
chehra mohara badaltā rahtā hai
itnī jaldī bhī faisla mat kar
jo bhala hai use bura mat kar
KHud se bhi barha mila mat kar
ye hai basti udas logon ki
qahqaha mar kar hansa mat kar
bagh hai dil fareb donon se
phul ko KHar se juda mat kar
roz ki lan-tan Thik nahin
ghar mein aaine ko rakha mat kar
chehra mohara badalta rahta hai
itni jaldi bhi faisla mat kar
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 622)
- Author : Shahid Mahili
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.